Khaleel Rampuri

raushni karne aaya tha suraj

Khaleel Rampuri

raushnī karne aayā thā sūraj
saa.e dekhe to Dhal gayā sūraj
pardā jab bhī haTāyā khiḌkī se
mere kamre meñ aa gayā sūraj
aa ga.e ham chhatoñ se kamroñ meñ
aur hameñ DhūñDhtā phirā sūraj
chāñdnī bhī udaas lagtī hai
mujh ko vīrān kar gayā sūraj
raat ne bādbān khol diyā
apnā sāmān le gayā sūraj
saarā din kaan bajte rahte haiñ
har kiran hai tirī sadā sūraj
ek maiñ hī nahīñ huuñ duniyā meñ
terā sab se hai rābta sūraj
koī dīvār bhī nahīñ haa.il
terā darbār hai khulā sūraj
saañs terī hai sab ke sīnoñ meñ
sab tujhī se hai silsila sūraj
merā terā muqābla kaisā
maiñ to huuñ ghar kā ik diyā sūraj
aaj kā din 'ḳhalīl' kyā guzrā
aaj dil se utar gayā sūraj
Top Urdushayar.com