jo is tarah liye phirtā hai jaañ hathelī par
vo dekhnā kabhī jaañ se guzar hī jā.egā
ḳhayāl hai koī uḌtā huā parind nahīñ
jahāñ bhī jā.egā be-bāl-o-par hī jā.egā
ye āsmāñ jo azal se sivā rahe mujh par
ye bojh bhī kahīñ sar se utar hī jā.egā
maiñ us kā chāhne vaalā huuñ koī ġhair nahīñ
vo mere sāmne aa kar nikhar hī jā.egā
vo kab kahegā ki maiñ ne lagā.ī thī ye aag
vo jab bhī sāmnā hogā mukar hī jā.egā
khilā huā hai nazar meñ gul-e-ḳhayāl koī
'ḳhalīl' aañkh jo jhapkī bikhar hī jā.egā