naam is allāh ke bande kā bhī rusvā.ī meñ hai
jo samundar kī tarah se apnī gahrā.ī meñ hai
shāḳh se patta bhī uḌtā hai parinde kī tarah
zindagī kī koī chiñgārī tamannā.ī meñ hai
dhuup kā dariyā umaD aatā hai jab chaḌhtā hai din
koī aisī lahr kyā us kī bhī añgḌā.ī meñ hai
jab havāoñ meñ aḌegā sab pata lag jā.egā
jhiil niile āsmāñ kī kitnī gahrā.ī meñ hai
chhoḌ jaatī hai havā bhī naqsh apne ḳhaak par
sochtā huuñ tū kahāñ par jalva-ārā.ī meñ hai
Duub jaate haiñ manāzir Dūbte sūraj ke saath
sach kahā kartā thā vo bhaa.ī kī jaañ bhaa.ī meñ hai
lahlahātī ḳhaak ko dekhā to kyā dekhā miyāñ
us ko dekhā chāhiye jo us kī ra.anā.ī meñ hai
koī darvāze kī dastak kaan meñ paḌtī nahīñ
but banā baiThā huuñ ghar meñ dhyān shahnā.ī meñ hai
ghere rahtā hai mujhe logoñ kī āvāzoñ kā shor
vo akelā dekh kar kahte haiñ tanhā.ī meñ hai
uḌte tayyāre kī khiḌkī se zarā sā jhāñk le
itne hañgāmoñ-bharī duniyā bhī tanhā.ī meñ hai
ham kisī shīshe ko apne muñh se patthar kyuuñ kaheñ
jis kā jo kirdār hai vo us kī goyā.ī meñ hai
dosto kyā pūchhte ho haal is ke gaañv kā
aa.ina lipTā huā tālāb kī kaa.ī meñ hai
uTh rahī thiiñ duur tak paanī kī dīvāreñ 'ḳhalīl'
ham ye samjhe naqs koī apnī bīnā.ī meñ hai