maiñ jaisā bhī huuñ tere sāmne huuñ
jo duniyā hai vo de de sāmne huuñ
tirī duniyā hai to har chiiz meñ hai
jahāñ bhī huuñ maiñ tere sāmne huuñ
abhī din hai batā kyā chāhtā hai
abhī zinda huuñ tere sāmne huuñ
falak kī jagmagātī chhat hai sar par
maiñ hairāñ huuñ ki kis ke sāmne huuñ
havā chaltī hai yā gaatā hai koī
vo kaun aisā hai kis ke sāmne huuñ
mujhe to sharm aatī hai ye kahte
maiñ pyāsā huuñ tumhāre sāmne huuñ