raat khaḌī hai sar pe sunahre diyoñ kā thaal liye
ai man tū bhī umr batā de naqsh-e-ḳhayāl liye
lamhe ye be-rañg patañge kab aate haiñ haath
saarā saarā din phirtā hai sūraj jaal liye
phul-jhaḌiyāñ sī chhūT rahī haiñ shaam ke dāman meñ
kaun khaḌā hai nārañgī sā chehra laal liye
aaj samajh meñ aayā apnī āñkhoñ kā mafhūm
har insān hai sūrat par do zaḳhm-e-malāl liye
ujlī chāñdnī raat sī āñkheñ ujlā dhuup sā mukh
haa.e re vo hirnī sī laḌkī shauq-e-visāl liye
ghar vāloñ se toḌ ke naatā kis ne paayā mujh ko
kahāñ phiroge shā.ir sāhab dast-e-savāl liye
gulzāroñ meñ basne vaale bhakkar des bhī dekh
thal kā registān bhī hai gudḌī meñ la.al liye
aaj talak us aurat se aatā hai ḳhauf 'ḳhalīl'
ghar meñ ik din ghus aa.ī thī bikhre baal liye