Khaleel Rampuri

maine to ek baat kahi thi baat ko phailaya hai kitna

Khaleel Rampuri

maiñ ne to ik baat kahī thī baat ko phailāyā hai kitnā
ab maiñ samjhā huuñ duniyā ne mujh ko pahchānā hai kitnā
jaane kis ne thappaḌ maarā kaale bādal ke chehre par
maiñ ne dekhā hai bādal ko ġhusse meñ barsā hai kitnā
lāThī paanī meñ Dāloñ to vāpas aatī hai paanī par
dariyā zor-āvar hai kitnā merā sarmāya hai kitnā
kal maiñ ne kuchh chehre dekhe cafe ke ik lawn meñ baiThe
kyā batlā.ūñ mujh ko us kā chehra yaad aayā hai kitnā
us se mil kar ḳhush hotā huuñ phir is soch meñ kho jaatā huuñ
bāhar se ujlā hai kitnā andar se kaalā hai kitnā
'rāmpūr' jī ye mat pūchho dil merā rone lagtā hai
kyā boloñ sochā hai kitnā aur us ko paayā hai kitnā
Top Urdushayar.com