is ujḌe shahr ke āsār tak nahīñ pahuñche
muarriḳhīn dil-e-zār tak nahīñ pahuñche
tamām umr masāfat meñ kaT ga.ī apnī
magar hanūz dar-e-yār tak nahīñ pahuñche
paTī paḌī haiñ taheñ soch ke samundar kī
ka.ī guhar lab-e-iz.hār tak nahīñ pahuñche
ka.ī tarāshne ke darmiyān TuuT ga.e
tamām sañg to shahkār tak nahīñ pahuñche
tamām gulshan-e-imkāñ nisār hai tujh par
magar vo phuul jo mahkār tak nahīñ pahuñche
ham apne ahd ke yūsuf zarūr haiñ lekin
kuñ.eñ meñ qaid haiñ bāzār tak nahīñ pahuñche
'amīr' ham ne salīboñ kā intiḳhāb kiyā
magar kabhī kisī darbār tak nahīñ pahuñche