jhulastī dhuup meñ ThanDī havā kā jhoñkā bhej
chaman se jānib-e-sahrā bhī koī tohfa bhej
mujhe taġhayyur-e-mausam kā kuchh yaqīn dilā
agar tasalsul-e-bārāñ nahīñ to qatra bhej
bahut dinoñ se mujhe tere ḳhvāb aate haiñ
koī payām koī ḳhair kā sandesa bhej
kabhī mirī bhī samā.at pe koī naġhma likh
mire bhī ghar ke shajar par koī parinda bhej
hamāre sahn meñ shāḳhoñ ke haath ḳhālī haiñ
bahār un ke liye motiye kā gajrā bhej
ḳhalā ke gumbad-e-be-dar meñ koī rauzan kar
ḳhudā-e-nūr falak par koī sitāra bhej
har ik faqīr pe bāb-e-karam nahīñ khultā
'ra.ūf' amiir dar-e-nīm-vā se kaasa bhej