ye to ma.alūm ki phir ā.iyegā
baiThiye aaj kahāñ jā.iyegā
marqad-e-kushta pe jab ā.iyegā
dil meñ kuchh soch ke pachhtā.iyegā
ham to samjhe the ki jald ā.iyegā
ḳhair ab pūchh ke ghar jā.iyegā
ġhair ko bose dahan ke kaise
kuchh mirā muñh to na khulvā.iyegā
mere kahne meñ nahīñ hai dil-e-zār
aap hī kuchh use samjhā.iyegā
ab to chūse lab-e-shīrīñ ham ne
lo hameñ ghol ke pī jā.iyegā
daulat-e-vasl hai qīmat dil kī
aage kuchh aap bhī farmā.iyegā
jam.a ḳhātir rahiye ai ahl-e-qubūr
ham bhī aate haiñ na ghabrā.iyegā
vasf likhte haiñ lab-e-shīrīñ ke
kuchh miThā.ī hameñ khilvā.iyegā
naza.a meñ paas mire kyuuñ baiThe
uThiye uThiye nahīñ ghabrā.iyegā
sadma-e-hijr meñ taklīf kareñ
malak-ul-maut se farmā.iyegā
aap par marne se hāsil kyā hai
fātiha bhī to na divā.iyegā
shaiḳh-jī but kī burā.ī kiije
apne allāh se bharpā.iyegā
ka.abe meñ saḳht-kalāmī sun lī
but-kade meñ na kabhī ā.iyegā
bose lillāh 'saḳhī' māñgtā hai
ek dījegā to das pā.iyegā