parinde hote agar ham hamāre par hote
zarā sī der meñ ik dūsre ke ghar hote
balā se hijr kī rāteñ tavīl-tar hotīñ
magar na vasl ke din itne muḳhtasar hote
ham apne markaz-o-mehvar se kaT ga.e varna
us ek dar ke jo hote na dar-ba-dar hote
tumhārī chaah meñ itnā to ham se ho saktā
tumhārī raah meñ phūloñ bharā shajar hote
amīr-e-dasht kā sunsān rāsta hotā
aur ek shaam ko ham donoñ ham-safar hote