gah mashq-e-sitam gāh-e-karam yaad kareñge
jab tak bhī jiyeñge tumheñ ham yaad kareñge
jab zikr chhiḌegā kahīñ arbāb-e-vafā kā
apne dil-e-marhūm ko ham yaad kareñge
dil apnā hai dil par to nahīñ zor kisī kā
ka.abe meñ bhī ham tujh ko sanam yaad kareñge
jo sajda-gah-e-ishq kī rif.at se haiñ vāqif
vo log mirā naqsh-e-qadam yaad kareñge
tauqīr baḌhā.ī hai mire sajdoñ ne un kī
ik umr mujhe dair-o-haram yaad kareñge
jab baat chhiḌegī kahīñ arbāb-e-nazar kī
'sāqī' ko bahut ahl-e-qalam yaad kareñge