ubharte chāñd sitāroñ kā tazkira bhī karo
ḳhizāñ ke saath bahāroñ kā tazkira bhī karo
guloñ kī chhāñv meñ ārām karne vaalo kabhī
hamārī raah ke ḳhāroñ kā tazkira bhī karo
hamesha sail-o-talātum kā zikr karte ho
sukūñ-ba-dosh kināroñ kā tazkira bhī karo
rabāb-o-chañg ke naġhmoñ se gar mile fursat
shikasta saaz ke tāroñ kā tazkira bhī karo
ḳhizāñ kī god meñ āñkhoñ ko kholne vaalo
nazar-navāz bahāroñ kā tazkira bhī karo
hasīn chāñdnī rātoñ se khelne vaalo
sahar ke Dūbte tāroñ kā tazkira bhī karo
hamesha zikr-e-shab-e-tār kis liye 'sāqī'
kabhī sahar ke nazāroñ kā tazkira bhī karo