shikasta-dil kī ḳhushī dosto ḳhushī to na thī
hañsī pe vaqt ke ik tanz thā hañsī to na thī
tamām umr jise raushnī samajhte rahe
fareb-e-chashm-e-tamannā thā raushnī to na thī
kisī ke ba.ad jo guzrī kisī kī hasrat meñ
vo ik sazā-e-mohabbat thī zindagī to na thī
jise zamāne ne gul kī hañsī kā naam diyā
vo ek kaifiyat-e-karb thī hañsī to na thī
maiñ tark rasm-e-vafā bevafā se kyuuñ kartā
thā iḳhtilā-e-ḳhayālāt dushmanī to na thī
hañsī hañsī meñ mire dil ko chhīnñe vaale
ye intiqām-e-mohabbat thī dilbarī to na thī
milī thī rāh-e-havas meñ jo raushnī 'sāqī'
vo ek zulmat-e-rahzan thī raushnī to na thī