Aulad Ali Rizvi

naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai

Aulad Ali Rizvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

naav tūfān meñ jab zer-o-zabar hotī hai
nāḳhudā par kabhī maujoñ pe nazar hotī hai
duur hai manzil-e-maqsūd safar hai darpesh
sone vāloñ ko jagā do ki sahar hotī hai
aur baḌh jaatī hai kuchh quvvat-e-ehsās-e-amal
jitnī dushvār mirī rāh-guzar hotī hai
ghar ke chhuTne kā asar ālam-e-ġhurbat kā ḳhayāl
kaifiyat dil kī ajab vaqt-e-safar hotī hai
kyā guzartī hai guloñ par koī un se pūchhe
naam gulshan kā hai kāñToñ pe basar hotī hai
azm kahtā hai mirā maiñ bhī to dekhūñ āḳhir
kaun sī hai vo muhim jo nahīñ sar hotī hai
kaun kahtā hai ġharīb-ul-vatanī meñ 'sāqī'
saath le-de ke faqat gard-e-safar hotī hai
Top Urdushayar.com