Aulad Ali Rizvi

KHadshe the sham-e-hijr ke subh-e-KHushi ke sath

Aulad Ali Rizvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

ḳhadshe the shām-e-hijr ke sub.h-e-ḳhushī ke saath
tārīkiyāñ bhī paa.ī ga.iiñ raushnī ke saath
jaarī hai sub.h-o-shām jafāoñ kā silsila
kitnā hai un ko rabt mirī zindagī ke saath
ab dekhnā hai mujh ko tire āstāñ kā zarf
sar ko jhukā rahā huuñ baḌī ājizī ke saath
zaḳhm-e-jigar khulā to tabassum kahā gayā
insāf ho sakā na chaman meñ kalī ke saath
lamhe to zindagī meñ mile an-ginat magar
ik lamha bhī guzār na paa.e ḳhushī ke saath
vaqt-e-sahar hai uTTho kamar tum bhī bāñdh lo
sūraj nikal rahā hai na.ī raushnī ke saath
'sāqī' har ik ke bas kā nahīñ kār-e-mai-kashī
ādāb-e-mai-kashī bhī haiñ kuchh mai-kashī ke saath
Top Urdushayar.com