dil use de diyā 'saḳhī' hī to hai
marhabā parvarish-e-alī hī to hai
dil diyā hai dilāvarī hī to hai
jaan bhī us ko deñge jī hī to hai
kyuuñ hasīnoñ kī aañkh se na laḌe
merī putlī kī mardumī hī to hai
na huī ham se umr bhar sīdhī
abrū-e-yār kī kajī hī to hai
aariz us kā na dekhūñ mar jā.ūñ
zindagī merī aarzī hī to hai
na hañse vo na gul dahan kā khulā
abhī nām-e-ḳhudā kalī hī to hai
kī ḳhitābat ko gar ḳhudā samjhā
banda bhī āḳhir aadmī hī to hai
gaal meñ vaañ havā ke sadme se
paḌ gayā niil nāzukī hī to hai
aaj kyuuñ chauñk chauñk paḌte ho
is makāñ meñ faqat 'saḳhī' hī to hai