na jis kā koī sahārā ho vo kidhar jaa.e
na aa.e maut to be-maut kaise mar jaa.e
maiñ is ḳhayāl se un se gilā nahīñ kartā
kahīñ na phuul se chehre kā rañg utar jaa.e
tū hī batā de mujhe be-kasī-e-manzil-e-shauq
jo raah se bhī na vāqif ho vo kidhar jaa.e
hazāroñ taur nahīñ chashm-e-ma.arifat ke liye
jahāñ jahāñ tirī mo.ajiz-numā nazar jaa.e
tajalliyāt se ma.amūr hai har ik zarra
bilā-sabab na koī koh-e-tūr par jaa.e
na pī tū apne ye aañsū mazāq meñ 'sāqī'
kahīñ na zahr mohabbat meñ kaam kar jaa.e