āñdhī kā kar ḳhayāl na tevar havā ke dekh
dīvār ret kī sahī ūñchī uThā ke dekh
saaya huuñ dhuup huuñ ki sarāboñ kā ruup huuñ
maiñ kyā huuñ kaun huuñ mire nazdīk aa ke dekh
apnī hī zaat meñ tū samundar huā to kyā
mere lahū meñ kholtā sūraj bujhā ke dekh
ik roz tū libās samajh kar mujhe pahan
kuchh der hī sahī mujhe apnā banā ke dekh
maiñ kāñch ke makān meñ rahtā huuñ in dinoñ
aa ai sadā-e-sañg mujhe aazmā ke dekh
shāyad kisī chaTān se jharnā ubal paḌe
patthar ke dil pe mom kā tesha jalā ke dekh
aatā hai kaun kaun tire ġham ko bāñTne
'zāhid' tū apnī maut kī afvāh uḌā ke dekh