Sabir Zahid

jab bhi paDha hai sham ka chehra waraq waraq

Sabir Zahid

jab bhī paḌhā hai shaam kā chehra varaq varaq
paayā hai āftāb kā māthā araq araq
lahje meñ DhūñDhiye na halāvat ki umr bhar
lamhoñ kā zahr ham ne piyā hai ramaq ramaq
the qahqahe sarāb samundar jo pī ga.e
kahne ko dil ke ghaav the raushan tabaq tabaq
qātil kā mil sakā na bhare shahr meñ surāġh
har chand merā ḳhuun thā phailā shafaq shafaq
jo shaḳhs dhaḌkanoñ meñ rahā muddatoñ asiir
us kī talāsh le ga.ī ham ko ufaq ufaq
Takrā gayā thā bhiiḌ meñ ḳhushbū kā qāfila
malbūs sarsarāte badan the abaq abaq
'zāhid' na.ī ġhazal hai ki taqsīm kā hisāb
bāñdhe haiñ tum ne ḳhuub qavāfī adaq adaq
Top Urdushayar.com