tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye
roz ik sūrat na.ī hai ġhaur karne ke liye
jab koī bantā hai lākhoñ hastiyoñ ko meT kar
sub.h tāroñ ko dabātī hai ubharne ke liye
hāmil-e-asrār-e-fitrat huuñ gadā bhī huuñ to kyā
baat ye kaafī hai mujh ko faḳhr karne ke liye
ruuh ko chamkā ḳhudī ko toḌ kar ziine banā
do ye tadbīreñ haiñ duniyā meñ ubharne ke liye
ġhaur se dekhā nizām-e-dahr to sābit huā
aadmī paidā huā hai kaam karne ke liye
sub.h uTh kar āñsuoñ se ḳhuun ke rotā huuñ maiñ
dil ke naqshe meñ vafā kā rañg bharne ke liye
gauhar-e-maqsūd ḳhud miltā hai himmat shart hai
muztarib rahtā hai har motī ubharne ke liye
aañkh sharmā.ī huī hai baal peshānī pe haiñ
ā.īna-ḳhāne meñ jaate haiñ sañvarne ke liye
kah do duniyā ke havādis se na chheḌeñ is tarah
'josh' ham tayyār hī baiThe haiñ marne ke liye