kāfir banūñgā kufr kā sāmāñ to kījiye
pahle ghanerī zulf pareshāñ to kījiye
us nāz-e-hosh ko ki hai muusā pe tāna-zan
ik din naqāb ulaT ke pashīmāñ to kījiye
ushshāq bandagān-e-ḳhudā haiñ ḳhudā nahīñ
thoḌā sā narḳh-e-husn ko arzāñ to kījiye
qudrat ko ḳhud hai husn ke alfāz kā lihāz
iifā bhī ho hī jā.egā paimāñ to kījiye
tā-chand rasm-e-jāma-darī kī hikāyateñ
taklīf yak-tabassum-e-pinhāñ to kījiye
yuuñ sar na hogī 'josh' kabhī ishq kī muhim
dil ko ḳhirad se dast-o-garebāñ to kījiye