behoshiyoñ ne aur ḳhabardār kar diyā
soī jo aql ruuh ne bedār kar diyā
allāh re husn-e-dost kī ā.īna-dāriyāñ
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-dīvār kar diyā
yā rab ye bhed kyā hai ki rāhat kī fikr ne
insāñ ko aur ġham meñ giraftār kar diyā
dil kuchh panap chalā thā taġhāful kī rasm se
phir tere iltifāt ne bīmār kar diyā
kal un ke aage sharah-e-tamannā kī aarzū
itnī baḌhī ki nutq ko bekār kar diyā
mujh ko vo baḳhshte the do aalam kī nemateñ
mere ġhurūr-e-ishq ne inkār kar diyā
ye dekh kar ki un ko hai rañgīniyoñ kā shauq
āñkhoñ ko ham ne dīda-e-ḳhūñ-bār kar diyā