agar vo be-adab hai be-adab likh
kabhī jo likh nahīñ paayā vo ab likh
tamāzat hirs kī had se baḌhī hai
samundar ḳhud huā hai tishna-lab likh
anā merī zabāñ khulne na degī
mujhe tū jitnā chāhe be-talab likh
kamīna saarī duniyā tere aage
magar apnā bhī to nām-o-nasab likh
mirī qindīl-e-jāñ jaltī hai shab bhar
zarā apnī bhī to rūdād-e-shab likh
'tapish' tere liye merī duā hai
jo haq tū jāntā hai sab kā sab likh