ek bhī chain kā bistar nahīñ hone detā
mere ghar ko vo mirā ghar nahīñ hone detā
nit-nayā ek shagūfa vo dikhātā hai mujhe
zulm kī had vo muqarrar nahīñ hone detā
sab ko dikhlātā hai vo chhoTā banā kar mujh ko
mujh ko vo mere barābar nahīñ hone detā
kaisī sāzish hai ye us kī zarā maiñ bhī dekhūñ
kyuuñ mujhe vo sar-e-manzar nahīñ hone detā
ḳhauf kaisā hai ye shāhīñ ke qabīle meñ 'tapish'
kyuuñ mamlūñ meñ koī par nahīñ hone detā