dekh kar merī anā kis darja hairānī meñ hai
us ne samjhā thā ki sab kuchh bāb-e-imkānī meñ hai
mujh ko ġham de de ke ḳhush thā vo magar ye kyā huā
vaqt ke hāthoñ vahī ġham kī farāvānī meñ hai
kis ko kis ko ḳhush rakhe vo kis se jhagḌā mol le
faisla hai us ke hāthoñ meñ to hairānī meñ hai
har ghaḌī ab hasratoñ kī laash detī hai dhuāñ
ik ajab shamshān mere dil kī vīrānī meñ hai
maiñ bhī tanhā is taraf huuñ vo bhī tanhā us taraf
maiñ pareshāñ huuñ to huuñ vo bhī pareshānī meñ hai
barf bhī sīmāb bhī sāhil bhī hai girdāb bhī
ye tazād-e-ḳhāsiyat ik shakl-e-insānī meñ hai