jism ke martabān meñ kyā hai
ruuh hai bas makān meñ kyā hai
ruuh kyā hai ḳhudā ko hai ma.alūm
apne vahm-o-gumān meñ kyā hai
ik junūñ hai jo saath chaltā hai
kashtī-o-bādbān meñ kyā hai
us ko merī anā se jhagḌā hai
varna merī zabān meñ kyā hai
be-gunāhoñ ke ḳhuuñ kā pyāsā tiir
aur us kī kamān meñ kyā hai
ek va.ada jo sab se sastā hai
aur dene ko daan meñ kyā hai
kuchh haqā.eq ke zinda paikar haiñ
lafz meñ kyā bayān meñ kyā hai