subū uThā ki fazā sīm-e-ḳhām hai saaqī
farāz-e-koh pe māh-e-tamām hai saaqī
chune hue haiñ piyāle jhukī huī botal
nayā qu.uud nirālā qayām hai saaqī
ba-nāz-e-muġhbachagān o ba-faiz-e-nāra-e-hū
humā-e-arz-o-samā zer-e-dām hai saaqī
fazā pe nahr-e-pur-afshān-e-tāb huur o tuhūr
ġhinā meñ shahr-e-qasūr-o-ḳhayām hai saaqī
ye kaun shāhid-e-mastī-farosh o naġhma-navāz
nafas ke taar pe garm-e-ḳhirām hai saaqī
na ism o jism na harf o nafas na saaya o naql
ye kyā tilism ye kaisā maqām hai saaqī
ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charḳh-e-kabūd
riyā halāl hai sahbā harām hai saaqī
ba-nām-e-ādam-o-havvā pilā ki garm-e-surūd
nasīm-e-roza-e-dārus-salām hai saaqī
subū-e-qila-shikan kī sipar ināyat kar
ki teġh-e-daur-e-zamāñ be-niyām hai saaqī
agar ġhizā-e-ḳhayāl-o-nazar se hai mahrūm
hayāt-e-zehn kā māh-e-siyām hai saaqī
tamām daulat-e-duniya-o-dīñ pe bhārī hai
vo dil jo basta-e-hubb-e-anām hai saaqī
ajab nahīñ ki tujhe bhī pasand aa.e ye qaul
jhuke na dil to ibādat harām hai saaqī
sifāt o zaat ke aivān-e-rūh-parvar tak
subū se fāsala-e-nīm-gām hai saaqī