jafā ke zikr pe vo bad-havās kaisā hai
zarā sī baat thī lekin udaas kaisā hai
na jaane kaun fazāoñ meñ zahr ghol gayā
harā-bharā sā shajar be-libās kaisā hai
mirī tarah se na haq baat tum kaho dekho
balā kā saaya mire ās-pās kaisā hai
ye faisla hai ki ham apne haq se baaz aa.eñ
to phir ye lahja ye tirā, iltimās kaisā hai
vahī jo shahr ke logoñ meñ thā bahut bad-nām
vahī to aaj sarāpā sipās kaisā hai
maiñ kyā kahūñ ki maiñ kyuuñ dil se ho gayā majbūr
tum hī batāo ki vo ḳhush-libās kaisā hai