aañkh thī suujī huī aur raat bhar soyā na thā
is tarah vo TuuT kar shāyad kabhī royā na thā
un ke shauq-e-dīd meñ thā is qadar khoyā huā
maiñ bharī mahfil meñ thā aisā ki maiñ goyā na thā
imtihāñ zauq-e-safar kā thā to sūraj sar pe thā
dhuup thī dīvār thī lekin kahīñ saaya na thā
vo baḌā thā phir bhī vo is qadar be-faiz thā
us ghanere peḌ meñ jaise koī saaya na thā
shāhrāh par ḳhuun meñ ik laash thī luthḌī hui
aa.e din kā hādsa thā is liye charchā na thā
har nigah pyāsī thī lekin vaqt kī tahvīl meñ
ik sarāb-āsā zamīñ thī duur tak dariyā na thā