garche nezoñ pe sar hai
maut to vaqt par hai
kaun patthar uThā.e
ye shajar be-samar hai
ghoñsla zindagī kā
saañs kī shāḳh par hai
koī dushman nahīñ hai
mujh ko apnā hī Dar hai
shak bhī kiije to kis par
vo baḌā mo'tabar hai
zad meñ āñdhī ke aksar
ek merā hī ghar hai
apnī pahchān rakhnā
bhiiḌ har moḌ par hai
mere maulā 'tapish' ko
ishq-e-ḳhair-ul-bashar hai