Abdussamad ’Tapish’

abhi tak hausla Thahra hua hai

Abdussamad ’Tapish’

abhī tak hausla Thahrā huā hai
nafas kā silsila Thahrā huā hai
ragoñ par aaj bhī hai larza taarī
nigah meñ hādsa Thahrā huā hai
faqat qābīl ne buniyād Daalī
abhī tak silsila Thahrā huā hai
bas ik tār-e-nafas kā TūTnā hai
yahī ik hādsa Thahrā huā hai
nazar kī chuuk thī bas ek lamha
sadī kā qāfila Thahrā huā hai
jahāñ tak paañv mere jā sake haiñ
vahīñ tak rāsta Thahrā huā hai
vo ham se ruuTh kar bhī duur kab haiñ
diloñ kā rābta Thahrā huā hai
vahī qātil vahī munsif banā hai
usī se faisla Thahrā huā hai
Top Urdushayar.com