ḳhauf-o-vahshat bar-sar-e-bāzār rakh jaatā hai kaun
yuuñ rag-e-ehsās par talvār rakh jaatā hai kaun
kyuuñ vo milne se gurezāñ is qadar hone lage
mere un ke darmiyāñ dīvār rakh jaatā hai kaun
mimbar-o-mehrāb se ātish-fishāñ hote to haiñ
vaqt kī dahlīz par dastār rakh jaatā hai kaun
bas ḳhudā ġhāfil nahīñ hai varna is mañjdhār meñ
merī kashtī ke liye patvār rakh jaatā hai kaun
ye mirā zauq-e-safar hai varna aisī dhuup meñ
har qadam par ik shajar chhitnār rakh jaatā hai kaun
dil baḌī nāzuk sī shai hai un se itnā pūchhiye
TuuTe shīshoñ kā yahāñ ambār rakh jaatā hai kaun
tīrgī apnā muqaddar likh chukī phir bhī 'tapish'
aa.ine meñ ik ġhalat pindār rakh jaatā hai kaun