Josh Malihabadi

udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai

Josh Malihabadi

1898-1982
udhar maz.hab idhar insāñ kī fitrat kā taqāzā hai
vo dāmān-e-mah-e-kan.āñ hai ye dast-e-zuleḳhā hai
idhar terī mashiyyat hai udhar hikmat rasūloñ kī
ilāhī aadmī ke baab meñ kyā hukm hotā hai
ye maanā donoñ hī dhoke haiñ rindī ho ki darveshī
magar ye dekhnā hai kaun sā rañgīn dhokā hai
khilaunā to nihāyat shoḳh o rañgīñ hai tamaddun kā
muārrif maiñ bhī huuñ lekin khilaunā phir khilaunā hai
mire aage to ab kuchh din se har aañsū mohabbat kā
kanār-e-āb-e-ruknābād o gulgasht-e-musallā hai
mujhe mālūm hai jo kuchh tamannā hai rasūloñ kī
magar kyā dar-haqīqat vo ḳhudā kī bhī tamannā hai
mashiyyat khelnā zebā nahīñ merī basīrat se
uThā le in khilaunoñ ko ye duniyā hai vo uqbā hai
Top Urdushayar.com