bisāt-e-dānish-o-harf-o-hunar kahāñ kholeñ
ye sochte haiñ lab-e-mo'tabar kahāñ kholeñ
ajab hisār haiñ sab apne gird khīñche hue
vajūd kī vahī dīvār dar kahāñ kholīñ
paḌāv Dāleñ kahāñ rāste meñ shaam huī
bhañvar haiñ sāmne raḳht-e-safar kahāñ kholeñ
yahāñ shu.ūr ke nāḳhun to ham bhī rakhte haiñ
magar ye uqda-e-fikr-o-nazar kahāñ kholeñ
na is ke saath hamārā bhī mol hone lage
haiñ kashmakash meñ ki musht-e-guhar kahāñ kholeñ
havā hai tez na is ke varaq uḌā le jaa.e
sahīfa-e-nafas-e-muḳhtasar kahāñ kholeñ
bachā.eñ aabrū jismoñ kī bhiiḌ meñ kaise
hai kholnī girah-e-jāñ magar kahāñ kholeñ
koī 'fazā' to mile ham ko qābil-e-parvāz
ab in hadoñ meñ bhalā bāl-o-par kahāñ kholeñ