Faza Ibn e Faizi

paya-e-KHisht-o-KHazaf aur guhar se uncha

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
pāya-e-ḳhisht-o-ḳhazaf aur guhar se ūñchā
qad yahāñ be-hunarī kā hai hunar se ūñchā
ek din ġharq na kar de tujhe ye sail-e-vajūd
dekh ho jaa.e na paanī kahīñ sar se ūñchā
māñgtā kis se mujhe sañg-e-sar-afrāzī de
koī darvāza to hotā tire dar se ūñchā
ham-qadam hai tapish-e-jāñ to pahuñch jā.ūñgā
ek do jast meñ dīvār-e-shajar se ūñchā
ek bigḌī huī tamsīl haiñ saare chehre
koī manzar nahīñ meyār-e-nazar se ūñchā
dhuup utrī to simaTnā paḌā ḳhud meñ us ko
ek saaya ki jo thā apne shajar se ūñchā
bulbula uThne ko uTThā to magar bechāra
rakh sakā ḳhud ko na dariyā ke bhañvar se ūñchā
kaisī pastī meñ ye duniyā ne basāyā hai mujhe
nazar aatā hai har ik ghar mire ghar se ūñchā
vo kahāñ se ye taḳhayyul ke ufuq lā.egā
āsmāñ ab bhī nahīñ hai mire sar se ūñchā
ḳhāk-e-'shiblī' se ḳhamīr apnā bhī uTThā hai 'fazā'
naam urdu kā huā hai isī ghar se ūñchā
Top Urdushayar.com