Faza Ibn e Faizi

aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
āñkhoñ ke ḳhvāb dil kī javānī bhī le gayā
vo apne saath merī kahānī bhī le gayā
ḳham-cham tamām apnā bas ik us ke dam se thā
vo kyā gayā ki aag bhī paanī bhī le gayā
TuuTā ta.alluqāt kā ā.īna is tarah
aks-e-nashāt-e-lamaha-e-fānī bhī le gayā
kūche meñ hijratoñ ke huuñ sab se alag-thalag
bichhḌā vo yuuñ ki rabt-e-makānī bhī le gayā
the sab usī ke lams se jal-thal bane hue
dariyā muḌā to apnī ravānī bhī le gayā
ab kyā khulegī munjamid alfāz kī girah
vo himmat-e-kashūd-e-ma.ānī bhī le gayā
sar-joshī-e-qalam ko 'fazā' chup sī lag ga.ī
vo jaate jaate shola-bayānī bhī le gayā
Top Urdushayar.com