na dāmanoñ meñ yahāñ ḳhāk-e-rahguzar bāñdho
misāl nik.hat-e-gul mahmil-e-safar bāñdho
is aa.ine meñ koī aks yuuñ na ubhregā
nazar se silsila-e-dānish-e-nazar bāñdho
jo sāhibān-e-basīrat the be-libās hue
fazīlatoñ kī ye dastār kis ke sar bāñdho
safīr-e-jāñ huuñ hisār-e-badan meñ kyā Thahrūñ
chaman-parasto na ḳhushbū ke bāl-o-par bāñdho
na TuuT jaa.e ki nāzuk hai rishta-e-anfās
tanāb-e-ḳhema-e-hastī sambhāl kar bāñdho
kahāñ har ek shanāvar guhar ba-kaf niklā
samundaroñ se tavaqqo na is qadar bāñdho
har ek haath meñ hai sañg sad-hazār-āshob
phir aise vaqt meñ shāḳhoñ se kyuuñ samar bāñdho
namak chhiḌakte raho ye bhī hai masīhā.ī
ye kyā zarūrī ki marham hī zaḳhm par bāñdho
phire hai kab se pareshāñ ye zaḳhm-ḳhurda hiran
junūñ ko dasht se le jā ke apne ghar bāñdho
gayā vo daur ki jab barf barf the alfāz
girah meñ ab ye dahakte hue sharar bāñdho
adab nahīñ hai rayāzī kā mas.ala yaaro
har ek shaḳhs pe kyuuñ tohmat-e-hunar bāñdho
ye sinf ābrū-e-fann-e-shā.irī hai 'fazā'
ġhazal kaho to mazāmīn mo'atabar bāñdho