Faza Ibn e Faizi

achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
achchhā huā maiñ vaqt ke mehvar se kaT gayā
qatra guhar banā jo samundar se kaT gayā
zinda jo bach ga.e haiñ saheñ nafratoñ ke dukh
apnā galā to pyaar ke ḳhanjar se kaT gayā
mausam bhī munfa.il hai bahut kyā bharūñ uḌaan
rishta havāoñ kā mire shahpar se kaT gayā
palkoñ par apnī kaun mujhe ab sajā.egā
maiñ huuñ vo rañg jo tire paikar se kaT gayā
vo mel-jol husn o basīrat meñ ab kahāñ
jo silsila thā phuul kā patthar se kaT gayā
maiñ dhuup kā hisār huuñ tū chhāñv kī fasīl
terā mirā hisāb barābar se kaT gayā
kitnā baḌā azaab hai bātin kī kashmakash
ā.īna sab kā garmī-e-jauhar se kaT gayā
sab apnī apnī zaat ke zindāñ meñ band haiñ
muddat huī ki rābta bāhar se kaT gayā
dekhā gayā na mujh se ma.ānī kā qatl-e-ām
chup-chāp maiñ hī lafzoñ ke lashkar se kaT gayā
us ke anā kī vaz.a thī sab se alag 'fazā'
kyā shaḳhs thā ki apne hī tevar se kaT gayā
Top Urdushayar.com