Josh Malihabadi

phir sar kisi ke dar pe jhukae hue hain hum

Josh Malihabadi

1898-1982
phir sar kisī ke dar pe jhukā.e hue haiñ ham
parde phir āsmāñ ke uThā.e hue haiñ ham
chhā.ī huī hai ishq kī phir dil pe be-ḳhudī
phir zindagī ko hosh meñ laa.e hue haiñ ham
jis kā har ek juzv hai iksīr-e-zindagī
phir ḳhaak meñ vo jins milā.e hue haiñ ham
haañ kaun pūchhtā hai ḳhushī kā nahufta raaz
phir ġham kā baar dil pe uThā.e hue haiñ ham
haañ kaun dars-e-ishq-e-junūñ kā hai ḳhvāst-gār
aa.e ki har sabaq ko bhulā.e hue haiñ ham
aa.e jise ho jāda-e-rif.at kī aarzū
phir sar kisī ke dar pe jhukā.e hue haiñ ham
bai.at ko aa.e jis ko ho tahqīq kā ḳhayāl
kaun-o-makāñ ke raaz ko paa.e hue haiñ ham
hastī ke dām-e-saḳht se uktā gayā hai kaun
kah do ki phir giraft meñ aa.e hue haiñ ham
haañ kis ke pā-e-dil meñ hai zanjīr-e-āb-o-gil
kah do ki dām-e-zulf meñ aa.e hue haiñ ham
haañ kis ko justujū hai nasīm-e-farāġh kī
āsūdgī ko aag lagā.e hue haiñ ham
haañ kis ko sair-e-arz-o-samā kā hai ishtiyāq
dhūnī phir us galī meñ ramā.e hue haiñ ham
jis par nisār kaun-o-makāñ kī haqīqateñ
phir 'josh' us fareb meñ aa.e hue haiñ ham
Top Urdushayar.com