Faza Ibn e Faizi

aur kya mujhse koi sahib-nazar le jaega

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
aur kyā mujh se koī sāhib-nazar le jā.egā
apne chehre par mirī gard-e-safar le jā.egā
dastaras āsāñ nahīñ kuchh ḳhirman-e-ma.anī talak
jo bhī aa.egā vo lafzoñ ke guhar le jā.egā
chhāñv meñ naḳhl-e-junūñ kī aao Thahrā leñ use
kaun jaltī dhuup ko sahrā se ghar le jā.egā
āsmāñ kī khoj meñ ham se zamīñ bhī kho ga.ī
kitnī pastī meñ mazāq-e-bāl-o-par le jā.egā
maiñ hī tanhā huuñ yahāñ us kī salābat kā gavāh
kaun uThā kar ye mirā sañg-e-hunar le jā.egā
kaaT kar dast-e-duā ko mere ḳhush ho le magar
tū kahāñ āḳhir ye shāḳh-e-be-samar le jā.egā
past rakkho apnī āvāzoñ ko varna duur tak
baat ghar kī raḳhna-e-dīvār-o-dar le jā.egā
maiñ uThātā huuñ qadam hālāt kī rau ke ḳhilāf
jāntā huuñ vaqt kā jhoñkā kidhar le jā.egā
itnī lambī bhī nahīñ logo ye gumnāmī kī umr
DhūñDh kar mujh ko shu.ūr-e-mo.atabar le jā.egā
kārobār-e-zindagī tak haiñ ye hañgāme 'fazā'
kyā vo saaya chhoḌ degā jo shajar le jā.egā
Top Urdushayar.com