Faza Ibn e Faizi

ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
ġhazal ke parde meñ be-parda ḳhvāhisheñ likhnā
na aayā ham ko barahana guzārisheñ likhnā
tire jahāñ meñ huuñ be-sāya abr kī sūrat
mire nasīb meñ be-abr bārisheñ likhnā
hisāb-e-dard to yuuñ sab mirī nigāh meñ hai
jo mujh pe ho na sakīñ vo navāzisheñ likhnā
ḳharāsheñ chehre kī siine ke zaḳhm suukh chale
kahāñ haiñ nāḳhun-e-yārāñ kī kāvisheñ likhnā
ham ek chaak haiñ jo kūza-gar ke haath meñ hai
hamārā kaam zamāne kī gardisheñ likhnā
ba-rāh-e-rāst koī farz adā nahīñ hotā
vahī sifārisheñ sunñā sifārisheñ likhnā
huā na ye bhī salīqe se zindagī karte
har ek saañs ko nākām koshisheñ likhnā
kahāñ vo log jo the har taraf se nastālīq
purānī baat huī chust bandisheñ likhnā
hunar-varo zarā kuchh din ye turfagī bhī sahī
hamāre lafzoñ ko ma.anī kī laġhzisheñ likhnā
kabhī jo ḳhat use likhnā 'fazā' to rakhnā yaad
mirī taraf se bhī kuchh nek ḳhvāhisheñ likhnā
Top Urdushayar.com