Faza Ibn e Faizi

ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
ruuh aur badan donoñ daaġh daaġh haiñ yaaro
phir bhī apne bām-o-dar be-charāġh haiñ yaaro
aao ham meñ Dhal jaao umr bhar ke pyāse haiñ
tum sharāb ho yaaro ham ayāġh haiñ yaaro
jin pe bārish-e-gul hai un kā haal kyā hogā
zaḳhm khāne vaale bhī baaġh baaġh haiñ yaaro
jin ko rah ke kāñToñ meñ ḳhush-mizāj honā thā
vo maqām-e-gul pā kar be-dimāġh haiñ yaaro
ham se mil ke fitrat ke pech-o-ḳham ko samjhoge
ham jahān-e-fitrat kā ik surāġh haiñ yaaro
nā-shanāsoñ kī tahsīñ rañg laa.ī hai kyā kyā
koile bhī ab lāl-e-shab-charāġh haiñ yaaro
ham hasīn ġhazloñ se peT bhar nahīñ sakte
daulat-e-suḳhan le kar be-farāġh haiñ yaaro
Top Urdushayar.com