Faza Ibn e Faizi

jurat-e-izhaar se rokegi kya

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
jur.at-e-iz.hār se rokegī kyā
maslahat merā qalam chhīnegī kyā
maiñ musāfir din kī jaltī dhuup kā
raat merā dard pahchānegī kyā
be-karāñ huuñ maiñ samundar kī tarah
mauj-e-shabnam qad mirā nāpegī kyā
chal paḌā huuñ sar pe le kar āsmāñ
paañv ke nīche zamīñ Thahregī kyā
shahr-e-gul kī rahne vaalī āgahī
mire zaḳhmoñ kī zabāñ samjhegī kyā
chehrā chehrā ālm-e-be-chehragī
dekh kar bhī zindagī dekhegī kyā
maiñ to logo sah luuñ har patthar kā jabr
vaqt kī shīshagarī sochegī kyā
hasratoñ kī aañch meñ is ko tapā
yuuñ badan kī tīrgī pighlegī kyā
nutq se lab tak hai sadiyoñ kā safar
ḳhāmushī ye dukh bhalā jhelegī kyā
kyā tavaqqo kor-zehnoñ se 'fazā'
ko.eloñ se raushnī phūTegī kyā
Top Urdushayar.com