tū hai ma.anī parda-e-alfāz se bāhar to aa
aise pas-manzar meñ kyā rahnā sar-e-manzar to aa
aaj ke saare haqā.eq vāhimoñ kī zad meñ haiñ
Dhālnā hai tujh ko ḳhvāboñ se koī paikar to aa
tū sahī ik aks lekin ye hisār-e-ā.ina
log tujh ko dekhnā chāheñ barūn-e-dar to aa
zā.iqa zaḳhmoñ kā yuuñ kaise samajh meñ aa.egā
pheñknā hai band paanī meñ koī patthar to aa
jism-e-ḳhākī tujh ko shīshe kī havelī hī sahī
ai charāġh-e-jāñ kabhī fānūs ke bāhar to aa
is jagah āhañg meñ Dhaltī haiñ dil kī dhaḌkaneñ
aa mire gahvāra-e-ehsās ke andar to aa
bār-hā jī meñ ye aa.ī umr-e-rafta se kahūñ
shaam hone ko hai ai bhūle musāfir ghar to aa