lahū hī kitnā hai jo chashm-e-tar se niklegā
yahāñ bhī kaam na arz-e-hunar se niklegā
har ek shaḳhs hai be-samtiyoñ kī dhund meñ gum
batā.e kaun ki sūraj kidhar se niklegā
karo jo kar sako bikhre hue vajūd ko jamā
ki kuchh na kuchh to ġhubār-e-safar se niklegā
maiñ apne aap se mil kar huā bahut māyūs
ḳhabar thī garm ki vo aaj ghar se niklegā
haiñ barf barf abhī mere ahd kī rāteñ
ufuq jaleñge to shola sahar se niklegā
ye kyā ḳhabar thī ki ai rañj-e-rā.egāñ-nafsī
dhuāñ bhī sīna-e-ahl-e-nazar se niklegā
mirī zamīñ ne ḳhalā meñ bhī khīñch dī dīvār
tū āsmāñ sahī kis rahguzar se niklegā
tamām log isī hasrat meñ dhuup dhuup jale
kabhī to saaya ghanere shajar se niklegā
samo na tāroñ meñ mujh ko ki huuñ vo sail-e-navā
jo zindagī ke lab-e-mo'tabar se niklegā
phirā huuñ kaasa liye lafz lafz ke pīchhe
tamām umr ye saudā na sar se niklegā
'fazā' matā-e-qalam ko sambhāl kar rakkho
ki āftāb isī durj-e-guhar se niklegā