Josh Malihabadi

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

Josh Malihabadi

1898-1982
dil-e-āzāda-rau meñ vo tamannā thī bayābāñ kī
qadam rakhte hī shaq hone lagī dīvār zindāñ kī
ḳhudā kī rahmateñ ai mutrib-e-rañgīñ-navā tujh par
ki har kāñTe meñ tū ne ruuh dauḌā dī gulistāñ kī
ye sābit kar diyā tujh ko banā kar dast-e-qudrat ne
ki ho saktī haiñ itnī ḳhūbiyāñ sūrat meñ insāñ kī
nasīm-e-sub.h ThanDī saañs bhartī hai mazāroñ par
udāsī muñh-añdhere dekhiye gor-e-ġharībāñ kī
ye aalam kyā hai ik majmūa hai nāchīz zarroñ kā
ye duniyā kyā hai ik tarkīb ajzā-e-pareshāñ kī
havāoñ ke vo jhoñke vo khule maidān kī sardī
vo lahreñ chāñd se ruḳhsār par zulf-e-pareshāñ kī
hamārī zindagī kyā silsila ik dil dhaḌakne kā
hamārī maut kyā jumbish hai ik jazbāt-e-pinhāñ kī
banā deñgī yaqīñ hai 'josh' mard-e-bā-ḳhudā ik din
tapish-andoziyāñ siine meñ barq-e-soz-e-pinhāñ kī
Top Urdushayar.com