bahut jumūd thā be-hausloñ meñ kyā kartā
na lagtī aag to maiñ jañgaloñ meñ kyā kartā
ik imtihān-e-vafā hai ye umr bhar kā azaab
khaḌā na rahtā agar zalzaloñ meñ kyā kartā
ho chob giilī to āḳhir jalā.e kaun us ko
maiñ tujh ko yaad bujhe valvaloñ meñ kyā kartā
mirī tamām harārat zamīñ kā virsa hai
ye āftāb tire bādaloñ meñ kyā kartā
ab is qadar bhī taraf-dār maiñ nahīñ us kā
himāyat us kī ġhalat-faisloñ meñ kyā kartā
ye log vo haiñ jo be-jurm sañgsār hue
harīf rah ke tire manchaloñ meñ kyā kartā
maiñ us ke chehre kī rañgat nahīñ jo uḌ na sakūñ
sameT kar vo mujhe āñchaloñ meñ kyā kartā
adab se rābta dānish kā jāntā hī nahīñ
ulajh ke vo bhī mire mas.aloñ meñ kyā kartā
na raas aa.ī kabhī mujh ko bazm-e-kam-nazarāñ
'fazā' bhī baiTh ke in pāgaloñ meñ kyā kartā