sulagnā andar andar misra-e-tar sochte rahnā
badan par Daal kar zaḳhmoñ kī chādar sochte rahnā
nahīñ kam jāñ-gusil ye marhala bhī ḳhud-shanāsī kā
ki apne hī ma.ānī lafz ban kar sochte rahnā
zabāñ se kuchh na kahnā bāvajūd-e-tāb-e-goyā.ī
khulī āñkhoñ se bas manzar ba manzar sochte rahnā
kisī lamhe to ḳhud se lā-ta.alluq bhī raho logo
masā.il kam nahīñ phir zindagī bhar sochte rahnā
charāġh-e-zindagī hai yā bisāt-e-ātish-e-rafta
jalā kar raushnī dahlīz-e-jāñ par sochte rahnā
ajab shai hai 'fazā' zehn o nazar kī ye asīrī bhī
musalsal dekhte rahnā barābar sochte rahnā