zamīn chīḳh rahī hai ki āsmān girā
ye kaisā bojh hamāre badan pe aan girā
bahut sambhāl ke rakh be-sabāt lamhoñ ko
zarā jo sankī havā ret kā makān girā
is ā.īne hī meñ logoñ ne ḳhud ko pahchānā
bhalā huā ki maiñ chehroñ ke darmiyān girā
rafīq-e-samt-e-safar hogī jo havā hogī
ye soch kar na safīne kā bādbān girā
maiñ apne ahd kī ye tāzgī kahāñ le jā.ūñ
ik ek lafz qalam se lahūluhān girā
qarīb o duur koī shola-e-navā bhī nahīñ
ye kin andheroñ meñ hāthoñ se sham.a-dān girā
'fazā' ko toḌ to pheñkā havāoñ ne lekin
ye phuul apnī hī shāḳhoñ ke darmiyān girā