Faza Ibn e Faizi

khula na mujhse tabiat ka tha bahut gahra

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
khulā na mujh se tabī.at kā thā bahut gahrā
hazār us se rahā rābta bahut gahrā
bas is qadar ki ye hijrat kī umr kaT jaa.e
na mujh ġharīb se rakh silsila bahut gahrā
sab apne ā.īne us ne mujhī ko sauñp diye
use shikast kā ehsās thā bahut gahrā
mujhe tilism samajhtā thā vo sarāboñ kā
baḌhā jo aage samundar milā bahut gahrā
shadīd pyaas ke aalam meñ Dūbne se bachā
qadah to kyā mujhe qatra lagā bahut gahrā
tū us kī zad meñ jo aayā to Duub jā.egā
ba-qadr-e-āb hai har aa.ina bahut gahrā
mileñge raah meñ tujh ko charāġh jalte hue
kahīñ kahīñ hai mirā naqsh-e-pā bahut gahrā
talāsh-e-ma.ani-e-maqsūd itnī sahl na thī
maiñ lafz lafz utartā gayā bahut gahrā
jo baat jān-e-suḳhan thī vahī rahī ojhal
liyā to us ne mirā jā.eza bahut gahrā
qadīm hote hue mujh se bhī jadīd hai vo
asar hai us pe mire daur kā bahut gahrā
'fazā' hameñ to hai kaafī yahī ḳhumār-e-vajūd
hai be-sharāb bhī hāsil nasha bahut gahrā
Top Urdushayar.com